Har jagah teri maujudgi si hai...

Heres a poem written by my one of my best friends, who has now just finished her Honours. I insisted on putting up a few of her writings, and this is one of them.

Aankhon me ek halki nami si hai,
aur labon pe thehre hue jazbaat bhi hain,
Tu nahin hai, par har jagah teri maujudgi si hai....

Maddham si hawa me meethe sangeet ki gunj si hai
darwaaje pe tere aane ki aahat si hai
Tu nahin hai, par har jagah teri maujudgi si hai....

Kamre ki har tasveer me teri parchaayi si hai
chitthiyon me tere haathon ki khushbu si hai
Tu nahin hai, par har jagah teri maujudgi si hai....

Baarish ke boondon me teri chuwan si hai
nazdeeki mehsus hoti hai, dil me bechaini si hai
Tu nahin hai, par har jagah teri maujudgi si hai....

Maathe ki bindiya me teri chavi si hai,
sajte sawarte aaine me dekhti mujhe teri nazar si hai
Tu nahin hai, par har jagah teri maujudgi si hai....

Kangan me khanak aur payal mein jhankar si hai,
sochke tujhe, honth me mere dabi hui muskuraahat si hai,
Tu nahin hai, par har jagah teri maujudgi si hai....

Chandni raaton me, taaron ki baarat me, teri roshni si hai,
palkon me mere beete hue lamhon ki raunak si hai,
Tu nahin hai, par har jagah teri maujudgi si hai....

Baahon me tere, duniya se rawaan, kho jane ki phir wahi chahat si hai,
dil me mohabbat aaj bhi utni taazi si hai,
Tu nahin hai, par har jagah teri maujudgi si hai....

Comments

Popular posts from this blog

My Love for Nature..My Photography

Twilight

Kiss