Kuch Panktiyan Dil Se...

Hiiiee friends.. After a long time I am posting something..and that too not mine... After "Teri maujudgi si hai..." and "I want to be..." this is the third one...

ab to hur gali, hur ghar veeraan hai,
suna hai rehne walo ne thikana badal liya

maikhana bhi tum aur jaam bhi,
subah bhi tum aur shaam bhi,
aashiqui ki hadh hai kayaamat ab,
ki ibaadat bhi tum aur khuda ka naam bhi.

khaamoshi ke veeraane mein hum,
akele akele se hain,
khuda kare ki koi keher ho,
aur tere hone ka ehsaas bhi..

khwaahisho ki, armaano ki,
aur khwaabo ki bheed,
khoya hua sa dil bhi,
in mein khud ko dhoondti
-main....

zakhmo ka kuchh aisa,
sailaab utha hai seene mein,
ki ab to ye dard,
mere jeene ki ummeed ko churayega,
haan, shayad kabhi koi pagal shaayar,
mera bhi afsaana dohraayega...


aaj apne dhool lage sapno mein,
subah se kuchh dhoond rahe hain,
haan pata hai yaheen milegi,
subah se humaari muskaan khoyi khoyi si hai..

meri hasi mein chhipe dard ko,
pehchaanta tha koi,
mere ashko ko ankho mein,
sambhaalta tha koi,
par aaj to wo aayina bhi toot gaya.

ek pehchaani si khushbu,
ek apni si dhun,
achaanak tera ehsaas,
ya shayad akhiri alvida,
aur ek adhoori daastaan.

mujhe raakh karti ek aag,
mujhe door le jaata toofaan,
mujhpar afsos karti si kismat,
aur tere hazaar sawaal..

aaj fir mile hain,
gali ki nukkad par do chaar log,
aaj fir lage hain besharm thahaake,
aaj fir lafzo ka bazaar laga hai...

Comments

Popular posts from this blog

My Love for Nature..My Photography

Kiss

Twilight